Songtexte von Veer und Zaara Do Pal Do pal ruka khwaabon ka kaarvaan Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan Do pal ki thi ye dilon daastaan Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan Tum the ke thi koyi ujili kiran Tum the ya koyi kali muskaayi thi Tum the ya tha sapnon ka tha saawan Tum the ke khushiyon ki ghata chaayi thi Tum the ya mila tha mujhe naya jahaan Do pal ruka khwaabon ka kaarvaan Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan Aa aa aa Tum the aa khushboo hawaaon mein thi Tum the ya rang saari dishaaon mein the Tum the ya roshni raahon mein thi Tum the ya geet goonjefizaaon mein the Tum the mile ya mili thi manzilein Tum the ke tha jaadoo bhara koyi sama Do pal ruka khwaabon ka kaarvaan Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan
Aaya Tere Dar Par Aa Aa Aa Aa Aa Aa Aa Jo bandishein thi zamaane ki tod aaya hoon Main tere vaaste duniya ko chhod aaya hoon Aaya tere dar par diwaana Aaya tere dar par diwaana Tera diwaana (tera) Tera diwaana (diwaana) Tera diwaana tera Tera diwaana Tera diwaana tera diwaana tera diwaana Aaya tere dar par diwaana Aaya tere dar par diwaana Ye hai tera hi saudaayee ye hai tera hi shaahdayee Ye haitera hi saudaayee ye hai tera hi shaahdayee Tere ishq mein hai isse mar jaana Aaya tere dar par diwaana Aaya tere dar par diwaana Aa Aa Aa Tera jalwa jo paaun main har gham bhool jaaun Tera jalwa jo main paaun main toh har gham bhool jaaun Ye aansoo jo hai behte bas itna hai ye kehte Kahaan tu aur kahaan main paraaya hoon yahaan main Aa, karam itna agar ho ki mujh par ik nazar ho Jaan oh dil vaar doon main zindagi haar doon main Jaise shama pe marta hai parvaana Aaya tere dar par diwaana Aaya tere dar par diwaana Diwaana tera Aa Diwaana tera Aa Diwaana tera Aaya tere dar par diwaana diwaana diwaana Aaya kis mod pe afsaana aa Aa Aa Aa Ye sitam ka rivaaj kyun hai kaisa hai ye samaaj kyun hai Ye duniya ki hai rasmein main hoon ab inke bas mein Ye jo duniya ki hai rasmein main hoon ab inke hi bas mein Na poochho kya gila hai mujhe gham kyunmila hai Tumhein main kya bataaun mohabbar jurm hai kyun Kyun dil se har ek hai anjaana Aaya kis mod pe afsaana Aaya kis mod pe afsaana Ye kis maahol mein ham hain khushi ke bhes mein gham hain Kisse apna kahe kisse beghaana Aaya kis mod pe afsaana Aaya kis mod pe afsaana Aa Aa Aa Aaya kis mod pe mera afsaana Aaya kis mod pe afsaana Afsaana mera afsaana mera Afsaana mera afsaana mera Afsaana mera afsaana mera Afsaana mera Afsaana mera Afsaana mera afsaana mera Aaya kis mod pe afsaana afsaana afsaana Aaya kis mod pe afsaana Aa Aa Aa
Main yahaan Hoon Jaanam dekh lo mit gayi dooriyaan Main yahaan hoon yahaan hoon yahaan hoon yahaan (Jaanam dekh lo mit gayi dooriyaan Main yahaan hoon yahaan hoon yahaan hoon yahaan Jaanam dekh lo mit gayi dooriyaan Main yahaan hoon yahaan hoon yahaan hoon yahaan) Kaisi sarhadein kaisi majbooriyaan Main yahaan hoon yahaan hoon yahaan hoon yahaan Tum chhupna na sakogi main woh raaz hoon Tum bhoola na sakogi woh andaaz hoon Goonjta hoon jo dil mein toh hairaan ho kyun Main tumhaare hi dil ki toh awaaz hoon Sun sako toh suno dhadkanon ki zabaan Main yahaan hoon yahaan hoon yahaan hoon yahaan Kaisi sarhadein kaisi majbooriyaan Main yahaan hoon yahaan hoon yahaan hoon yahaan Main hi main ab tumhaare khayaalon mein hoon Main jawaabon mein hoon main sawaalon mein hoon Main tumhaare har ek khwaab mein hoon basa Main tumhaari nazar ke ujaalon mein hoon Dekhti ho mujhe dekhti ho jahaan Main yahaan hoon yahaan hoon yahaan hoon yahaan Jaanam dekh lo mit gayi dooriyaan Main yahaan hoon yahaan hoon yahaan hoon yahaan Kaisi sarhadein kaisi majbooriyaan Main yahaan hoon yahaan hoon yahaan hoon yahaan
Kyon Hawa Ek din jab savere savere surmayi se andher ki chaadar hata ke Ek parbat ke takiye se sooraj ne sar jo uthaaya toh dekha Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai Aur yaadon ki daaliyon par Anginat beete lamhon ki laliyaan mahekne lagi hain Ankahi ansuni aarzoo aadhi soyi huwi aadhi jaagi huwi Aankhein malte huwe dekhti hai laher dar laher Mauj dar mauj behti huwi zindagi Jaise har ek pal nayi hai aur phir bhi wahi haan wahi zindagi Jiske daaman mein ek mohabbat bhi hai koyi hasrat bhi hai Paas aana bhi hai door jaana bhi hai aur ye ehsaas hai Waqt jharne sa behta huwa jaa raha hai ye kehta huwa Dil ki waadi mein chaahat ka mausam hai Aur yaadon ki daaliyon par Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain Aa haa ho ho aa ha ho hoo hmm hmm Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai Kyun hawa aaj yun jgaarahi hai Kyun fiza rang chhalka rahi hai Mere dil bata aaj hona hai kya Chaandni din mein kyun chhaa rahi hai Zindagi kis taraf jaa rahi hai Mere dil bata kya hai ye silsila Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai Gaa rahi hai gaa rahi hai Ha ha ha ha aah aah hhm aah ha ha ha ha ha Jahaan tak bhi jaayein nigaahein baraste hain jaise ujaale Jahaan tak bhi jaayein nigaahein baraste hain jaise ujaale Saji aaj kyun hain ye raahein khile phool kyun hain niraale Khushbuwein kaisi ye beh rahi hain Dhadkanein jaane kya keh rahi hai Mere dil bata ye kahaani hai kya Gaar rahi hai gaa rahi hai Aa Aa Ye kiska hai chehra jisse main har ek phool mein dekhta hoon Ye kiska hai chehra jisse main har ek phool mein dekhta hoon Ye kiski hai awaaz jisko na sun ke bhi mainsun raha hoon Kaisi ye aahatein aa rahi hain kaise ye khwaab dikhla rahi hain Mere dil bata kaun hai aa raha Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai Gaa rahi hai gaa rahi hai Aa Aa Aa Aa Aa Aa
Ye Hum Aa Gaye Hain Kahaan Lehraati huwi raahein khole huwe hain baanhein Ye ham aa gaye hain kahaan Palkon pe gehre halke hai reshmi dhundhalke ke Ye ham aa gaye hain kahaan Aa ye ham aa gaye hain kahaan Woh dekho zara parbatonpe ghataayein Hamaari daastaan holle se sunaaye Suno toh zara ye phoolon ki waadi Hamaari hi koyi kahaani hai sunaati Sapnon ke is nagar mein yaadon ki rehguzar mein Ye ham aa gaye hain kahaan Haan ye ham aa gaye hain kahaan Jo raahon mein hai rut ne sona bikhera Sunehra huwa tera mera savera Zameen so gayi barf ki chaadaron mein Bas ek aag si jalti hai do dilon mein Hawaayein sansanaayein badan kaanp jaayein Ye ham aa gaye hain kahaan Haan ye ham aa gaye hain kahaan Ye barsaat bhi kab thamein kaun jaane Tumhein mil gaye pyaar ke sau bahaane Sitaaron ki hai jaise baarat aayi Hamaare liye raat yun dagmagaayi Sapne bhi jhilmilaayein Dil mein diye jalaayein Ye ham aa gaye hain kahaan Haan ye ham aa gaye hain kahaan Haan ye ham aa gaye hain kahaan
Tere Liye Tere liye ham hain jiye honton ko siye Tere liye ham hain jiye har aansoo piye Dil mein magar jalte rahe chaahat ke diye Tere liye Tere liye Tere liye ham hain jiye har aansoo piye Tere liye ham hain jiye honton ko siye Dil mein magar jalte rahe chaahat ke diye ere iye Tere liye Aa Zindagi le ke aayi hai beete dinon ki kitaab Zindagi le ke aayi hai beete dinon ki kitaab Ghere hain ab hamein yaadein be hisaab Bin poochhe mile mujhe kotne saare jawaab Chaaha tha kya paaya hai kya hamne dekhiye Dil mein magar jalte rahe chaahat ke diye Tere liye Tere liye Kya kahoon duniya ne kiya mujh se kaisa bair Kya kahoon duniya ne kiya mujh se kaisa bair Hukam tha main jiyun lekin tere baghair Naadaan hai woh kehte hain jo mere liye tum ho ghair Kitne sitam hampe sanam logon ne kiye Dil mein magar jalte rahe chaahat ke diye Tere liye Tere liye Tere liye ham hain jiye honton ko siye Tere liye ham hain jiye har aansoo piye Dil mein magar jalte rahe chaahat ke diye Tere liye Tere liye Tere liye Tere Liye Tere liye Tere Liye
|